Life is a blog
-------------------------------------------------
Poshmaal ghazal : poetic expression of both the pain of loss or separation and the beauty of love in spite of that pain
Aah Ko Chaahiye - Mirza Ghalib
Aaina mujse meri pehli si surat mange
Aaj jaane ki zid na karo - Faiyaz Hashmi
Aap ki yaad aatee rahee
Aap ko dekh kar, dekhta reh gaya - Aziz Qaizi
Aawargi - Mohsin Naqavi
Ab ke ham bichhde - Ahmed Faraz
Apni dhun mein rehataa huu.N - Nasir Kazmi
Aye husn-e-beparwah
Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya
Baabul Moraa -
Baat niklegi - Kafeel Aazer
Bhooli bisri chand umeedein - Razi Tirmizi
Chamakte chaand ko - Anand Bakshi
Chhaa rahii kaalii ghataa - Qalander Baksh Jurrat
Chupke chupke raat din - Hasrat Mohani
Denevaale mujhe maujo.n kii ravaanii de de - Shadab Lahori
Dil dhoondhta hai, phir wahee - Gulzar
Dil mein ik lahar sii uThii hai abhii - Nasir Kazmi
Duniyaa jise kahate hain - Nida Fazli
Duniya kisi ke pyaar mein - Dukhi Prem Nagri
Ek purana mausam lauta - Gulzar
Faasle aise bhii honge - Adeem Hashmi
Gulon mein rang bhare - Faiz Ahmed Faiz
Har ek baat pe kahte ho - Mirza Ghalib
Hazaaron Khvaahishen - Mirza Ghalib
Honton se chhoo lo tum - Indeevar
Hoshwaalo.n ko khabar kya - Nida Fazli
Humko kiskay gham nay maara - Masroor Anwar
Hungama hai kyon barpa - Akbar Allahabadi
Itni muddat baad mile ho - Mohsin Naqvi
Jab bhii aatii hai terii yaad - Krishan Adeeb
Jhoom kay jab rindo nay pila di - Kaif Bhupali
Jhukii jhukii si nazar - Kaifi Azmi
Jinke honthon pe hansi, paanv mein chaale honge -
Kaagaz kii kashtii - Sudarshan Faakir
Kabhi Kaha Na Kisi Se - Qamar Jalabadi
Kabhi Kisi Ko Muqamal Jahan Nahin Milta - Nida Fazli
Kal chaudvi.n kii raat thi - Ibn-e-Insha
Karoge yaad to - Bashar Nawaz
Kisi Nazar ko tera - Hasan Kamaal
Koi ye kaise bataaye - Kaifi Azmi
Ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki - Parveen Shakir
Main Khayaal huu.N kisii aur kaa - Saleem Kausar
Main nazar se pii rahaa huun - Anwar Mirzapuri
Mere hum-nafas, mere hum-nawa - Shakeel Badayuni
Meri tanhaaiyon - Prem Warbartoni
Paara paara huaa - Saeed Rahi
Phir usii raah_guzar par shaayad - Ahmed Faraz
Pyaar bhare do sharmile nain
Rafta rafta wo meri - Tasleem Fazli
Ranjish hi sahi - Ahmed Faraz
Sarakti Jaaye Rukh Se Naqab - Ameer Minai
Shola Hoon Bhadakne Ki Guzaarish Nahi Karta - Muzaffar Warsi
Shola tha jal bujha huun - Ahmed Faraz
Sunte hain ke mil jati hai har cheez dua se - Rana Akbar Abadi Sb
Tum itna jo muskura rahe ho - Kaifi Azmi
Tum Nahin Gham Nahin Sharab Nahin - Saeed Rahi
Tumko dekha to ye khayaal aaya - Javed Akhtar
Tuune ye phuul jo zulfo.n mein - Qateel Shifai
Woh Jo Hum Mein Tum Mein - Momin Khan Momin
Yaaro kisi qaatil se - Qateel Shifai
Zindagi jab bhi teri bazm mein - Shahryar
Zindagi mein to sabhi - Qateel Shifai
Aah Ko Chaahiye - Mirza Ghalib aah ko chaahiye ik umr asar hone tak kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak aashiqii sabrtalab aur tamannaa betaab dil kaa kyaa rang karuuN Khuunejigar hone tak ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge ham tumako Khabar hone tak
Gamehastii kaa ‘Asad’ kis se ho juz marg ilaaj shamm’a har rang men jaltii hai sahar hone tak
Sar: Beginning, Chief, Desire, Epilepsy, Head, Origin, Pinnacle, Top
Sabr-talab: Suppressed desires(?)
Jigar: Courage, Liver, Heart, Soul, Mind, Vitals
Tagaaful: Apathy, Ignore, Indifference,Neglect, Negligence
Khaak: Ashes, Dust, Dirt, Earth, Land
Gham-e-hastii: Life of Sorrow
Asad: A reference to the poet, Mirza Ghalib, whose full name was Mirza Asadullah Baig Khan. He originally assumed the pen name ‘Asad’
Juz: Other Than
Juz Marg: Besides Death
Sahar: Dawn, Morning
A sigh takes a life time to bear fruit, wonder who'd live till you've unveiled your beauty.
My love is patient, my desires ardent, wonder what is the apt state for my heart before it perishes.
Agreed you'll not be oblivious
But till you get to know of it (my pain, my love), I might be long gone.
The grief that personifies my existence has no cure, a candle finds it completion only by burning till the dawn breaks.
Aaina mujse meri pehli si surat mange
Aaina mujse meri pehli si surat mange
Mere apne meri hone ki nishani mange
Mein bhatakata hi raha dard ke viraane mein
Waqt likhta raha chere pe har pal ka hishab Meri shorat meri diwangi ki nazar hui
Pi gayi may ki bolte meri geeto ki kitab
Aaj lauta hoon tu hasne ki ada bhool gaya
Yeh shahar bhoola muje mein bhi ishe bhool gaya
Mera fan phir muje bazaar mein le aaya hai
Yeh vo jagah ke jahan mero vafa bikate hain
Baap bikate hain aur lakhte jigar bikate hain
Kookh bikati hain dil bikate hain sar bikate hain
Is badalti hui duniya ka khuda koi nahin
Saste daamo pe yahan roz khuda bikate hain
Har kharidaar ko bazaar mein bikataa paya
Hum kya paayenge kisi ne yahaan kya paayaa
Mere aheshas mere phool kahin aur chale
Bol pujaa meri bachi kahin aur chale aur chale
Aaj jaane ki zid na karo - Faiyaz Hashmi aaj jaane ki zid naa karo (3) yoon hi pehloo mein baithe raho (2) aaj jaane ki zid naa karo
(haaye mar jayenge hum to loot jayenge aisi baatein kiya na karo aaj jaane ki zid na karo (2)) (2) tum hi socho zaraa kyon naa roke tumhe jaan jaati hai jab uthake jaate ho tum (2) tum ko apni kasam jaan-e-jaan baat itni meri maan lo aaj jaane ki zid na karo yoon hi pehloo mein baithe raho (2) aaj jaane ki zid na karo haaye mar jayenge hum to loot jayenge aisi baatein kiya na karo aaj jaane ki zid na karo waqt ki kaid mein zindagi hai magar (2) chand ghadiyan yehi hai jo aazaad hai (2) inko khokar main jee jaan-e-jaan umra bhar na taraste raho aaj jaane ki zid na karo haaye mar jayenge hum to loot jayenge aisi baatein kiya na karo aaj jaane ki zid na karo kitna maasoom rangeen hai yeh samaa husn aur ishq ki aaj mein raaj hai (2) kal ki kisko khabar jaan-e-jaan rok lo aaj ki raat ko
Meiraaj: A series of steps or stairs; a, ladder upon which souls ascend when taken from their bodies
Aap ki yaad aatee rahee aap kee yaad, aatee rahee raatabhar chashma-ye-nam muskuraatee rahee raatabhar raatabhar dard kee, shamaa jaltee rahee gam kee lau, thartharatee rahee raatabhar bansuri kee sureeli suhanee sadaa yaad ban ban ke, aatee rahee raatabhar yaad ke chaand, dil mein utarate rahe chaandni jagmagaatee rahee raatabhar koi diwaana galiyon mein firtaa rahaa koi aawaz, aatee rahee raatabhar
Aap ko dekh kar, dekhta reh gaya - Aziz Qaizi aap ko dekh kar dekhataa rah gayaa kyaa kahuu.N aur kahane ko kyaa rah gayaa unki aa.Nkho.n se kaise chhalakane lagaa mere honThon pe jo maajaraa rah gayaa aise bichha.De sabhii raah ke mo.D par aaKharii ham-safar raastaa rah gayaa soch kar aao kuu-e-tamannaa hai ye jaaneman jo yahaa.N rah gayaa rah gayaa
Aawargi - Mohsin Naqavi
“bade wasooq se duniya fareb deti hai bade khuloos se hum aitbaar karte hain” yeh dil yeh pagal dil mera, kyon bujh gaya aawargi is dasht mein ik shahar tha, vo kya hua aawargi kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya main ne kaha tu kaun hai, usne kahaa aawargi ek tuu ke sadiyon se mere, humraah bhi humraaz bhi ek mein kii tere naam se, na-aashana aawaragi ye dard kii tanahaaiyaa.N, ye dasht kaa viiraa.n safar ham log to uktaa gaye apnii sunaa, aavaargii ik ajnabi jhonke ne jab, pucha mere gam ka sabab sehra ki bheegi ret par, main ne likha aawargi kal raat tanha chand ko, dekha tha main ne khwab main
“mohsin” mujhay rass ayegi, shayad sada aawargi
Dasht: Desert, Hands, Jungle, Wilderness
Shab: Night
Sadiyon: Centuries
Ham-Raah: Fellow traveler
Ham-Raaz: Confidant
Na-aashnaa: Not Acquainted, Stranger
Uktaa jaana: Get Bored
Sabab: Cause, Occasion, Reason
Raas aanaa: To Find Suitable, Like
Ab ke ham bichhde - Ahmed Faraz ab ke ham bichhde to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n jis tarah sukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraz’, jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n mai.n mile.n
Vafaa: Fulfilling A Promise, Fulfillment, Fidelity, Faithful
Kharaab: Bad, Depraved, Spoiled
Hijaab: Bashfulness, Coyness, Curtain
Daar: Country Gallows, Having, Holding, House, Mansion
Khiinchna: Drawing, dragging
Nisaab: Root, origin
Maazi: Past , Yore
Saraab: Mirage, Illusion
Apni dhun mein rehataa huu.N - Nasir Kazmi apnii dhun me.n rehataa huu.N mai.n bhii tere jaisaa huu.N o pichhalii rut ke saathii ab ke baras mai.n tanhaa huu.N terii galii me.n saaraa din dukh ke kankar chunataa huu.N mujh se aa.Nkh milaaye kaun mai.n teraa aa_iinaa huu.N meraa diyaa jalaaye kaun mai.n teraa Khaalii kamraa huu.N tuu jiivan kii bharii galii mai.n jangal kaa rastaa huu.N apanii lahar hai apanaa rog dariyaa huu.N aur pyaasaa huu.N aatii rut mujhe royegii jaatii rut kaa jho.Nkaa huu.N
Dhun: Whim, Zeal
Lahar: Ecstasy, Emotion, Excitement, Rapture, Waft, Wave
Rog: Illness, Bad Habit, Botheration, Entanglement, Embarrassment
Aye husn-e-beparwah aye husn-e-beparwah tujhe shabnam kahoon shola kahoon phoolon mein bhi shokhi to hai kisko magar tujhsa kahoon gesu udhe, mehki fazaa, jaadoo kare aankhen teri soya hua manzar kahoon ya jaagta sapna kahoon chanda ki tu hai chandni, lehron ki tu hai raagni jaan-e-tamanna mein tujhe kya kya kahoon kya na kahoon
Shokhi: Coquetry, Mischief, Restlessness
Fazaa: Atmosphere, Environment
Manzar: Aspect, Countenance, Landscape, Outlook, Sight, Scene View, Visage
Aye Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya jaane kyon aaj tere naam pe rona aaya yun toh har shaam ummido mein guzar jaati thi aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aaya
Kabhi Taqdeer Ka Matam Kabhi Duniya Ka Gila
Manzil-e-Ishq Mein Har Gam Pe Rona Aaya
Jab Hua Zikr Zamane Mein Mohabbat Ka
Mujh Ko Apane Dil-e-Nakaam Pe Rona Aaya
Baabul Moraa - babul moraa, naihar chooto hi jaaye chaar kahaar mile mori doliya sajaavi re mora apna begaana chooto jaaye baabul moraa naihar chooto jaaye
angana to parbat bhaya aur dehri bhayi videsh le babul ghar aapno main chali piya ke desh baabul mora naihar chooto jaaye mora naihar chooto hi jaaye
Baat niklegi - Kafeel Aazer baat niklegi to fir duur talak jaayegi log bevajha udasi ka sabab puchhenge yae bhi puchhenge ke tum itni pareshhan kyun ho ungliyaan uthegi sukhe huae baalon ki taraf ek nazar dekhenge gujre huae saalon ki taraf choodiyo par bhi kai tanz kiye jaayenge kaampte haathhon pe bhi fikr-e-kas-e-jaayenge log zaalim hai har ik baat ka taana denge baaton baaton mei mera zikr bhi le aayenge (2) unki baaton ka zara sa bhi asar mat lena varna chahere ke taasur se samaj jaayenge chahe kuchh bhi ho sawaalaat na karna unse (2) mere baare mei koi baat na karna unse baat niklegi to duu…r talak jaayegi
Talak: Till
Sabab: Bring About, Cause, Occasion, Reason, Relationship
Tanz: Jest, Irony, Laugh, Quirk, Sarcasm Satire, Wisecrack, Witticism
Kas: Man, Person, Tenacity
Taasur: Affect
Samajh: Judgement, Wit
Bhooli bisri chand umeedein - Razi Tirmizi bhuli bisri chand umeedein, chand fasaane yaad aaye tum yaad aaye aur tumhare saath, zamaane yaad aaye dil ka chaman shadaab tha phir bhi khaak si urti rehti thi kaise zamaane ai Gam-e-janaa tere bahaane yaad aaye thandi sard hawa ke jhonke aag laga kar chhor gaye phuul khile shaakhon pe naye aur dard puraane yaad aaye hansane walon se dertay the chhup chhup kar ro lete the gahri gahri soch mein duube do deewane yaad aaye
Chamakte chaand ko - Anand Bakshi chamakte chand ko tuta hua tara bana dala meri aawargi ne mujhko aawara bana dala bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kehte hain yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rehte hain mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun na mujhse ban saka chhota sa ghar,din raat rota hun khuda ya tune kaise ye jahan sara bana dala mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala yehi aagaz tha mera, yehi anjaam hona tha mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
Dilkash: Adorable, Attractive
Aagaz: Begining
Chhaa rahii kaalii ghataa - Qalander Baksh Jurrat chhaa rahii kaalii ghaTaa, jiyaa moraa laharaaye hai sun rii koyal baa.Nvarii, tuu kyuuN malhaar gaaye hai ai papiihaa aa idhar mai.n bhii saraapaa dard huu.N aam par kyuu.N jam rahaa hai mai.n bhii to aisii zard huu.N farq itanaa hai ki us me.n ras hai mujh me.n haay hai saare aazaaro.n se ba.Dhake ishq kaa aazaar hai aafato.n me.n jaan-o-dil kaa Daalanaa bekaar hai bevafaa se dil lagaakar kyaa ko_ii phal paaye hai ai papiihaa chup Khudaa ke vaaste tuu ho zaraa raat aadhii ho chukii hai ab tujhe kyaa hogayaa terii pii-pii se papiihaa pii mujhe yaad aaye hai muddato.n dhundhaa piya ko maine, kar jogan kaa bhes na to mai.n ne un ko paayaa aur na paayaa un kaa des log kahate hain ki dhuundhe se khudaa mil jaaye hai bin bulaye dekh lena, woh aa jayengee din jab acche aayange, woh khud-b-khud chale aayenge sabr kar ae-dil, khuda malik hai kyon gabraaye hai
Chupke chupke raat din - Hasrat Mohani chupke chupke raat din aa.Nsuu bahanaa yaad hai ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai tujhase milate hii vo bebaak ho jaanaa meraa aur teraa daato.n me.n vo u.Ngalii dabaanaa yaad hai khii.nch lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan aur dupaTTe se teraa vo muu.Nh chhupaanaa yaad hai chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah muddate.n guzarii.n par ab tak wo thikaanaa yaad hai do-pahar kii dhuup me.n mere bulaane ke liye vo teraa kothe pe na.nge paao.n aanaa yaad hai tujh ko jab ta.nhaa kabhii paanaa to az_raah-e-lihaaz hal-e-dil baato.n hii baato.n me.n jataanaa yaad hai jab sivaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa sach kaho kyaa tum ko bhii vo kaarKhaanaa yaad hai
Gair kii nazaro.n se bachakar sab kii marzii ke Khilaaf vo teraa chorii chhipe raato.n ko aanaa yaad hai aa gaya gar vasl kii shab bhii kahii.n zikr-e-firaaq vo teraa ro ro ke mujhako bhii rulaanaa yaad hai beruKhii ke saath sunaanaa dard-e-dil kii dastaa.N aur teraa hatho.n me.n vo ka.ngan ghumaanaa yaad hai vaqt-e-ruKhsat alvidaa kaa lafz kahane ke liye vo tere sukhe labo.n kaa thar-tharaanaa yaad hai
Bebaak: Bold, Confident, High Spirited, Unconstrained, Undaunted, Outspoken
Daffaatan: Suddenly
Az Raah-e-Lihaaz: With Due Caution
Vasl: Meeting, Union
Shab: Night
Zikr: Discussion, Remembrance, Memory, Mention
Firaaq: Separation, Anxiety, Absence, Distance
Muddat: Awhile, Duration, Length Of Time, Period Of Time, Term, While
Thikaanaa: Abode, Bearing, Goal, Limit, Proper Place
Be-rukhii: Aloofness Caused By Anger, Ignorance, Indifference
Rukhsat: Dismissal, Indulgence, Leave, Permission, Send Away
Denevaale mujhe maujo.n kii ravaanii de de - Shadab Lahori denevaale mujhe maujo.n kii ravaanii de de phir se ek baar mujhe merii javaanii de de abr ho jaam ho saaqii ho mere pahaluu me.n ko_ii to shaam mujhe aisii suhaanii de de nashaa aa jaaye mujhe terii javaanii kii qasam tuu agar jaam me.n bhar ke mujhe paanii de de har javaa.N dil mere afasaane ko doharaataa rahe hashr tak Khatm na ho aisii kahaanii de de
Ravaanii: Flow, Speed
Afsaanaa: Fiction, Legend, Romance, Tale, Story
Hashr: Day Of Judgement, End, Lamentation, Resurrection, Tumult
Dil dhoondhta hai, phir wahee - Gulzar dil dhoondhta hai, fir wahee furasat ke raat din baithhe rahe tasavvur-e-jaanaa kiye huye jaadon kee narm dhoop aur, aangan mein let kar aankhon pe khinch kar tere, aanchal ke saaye ko aaundhe pade rahe kabhee, karawat liye huye barfilee sardiyon mein, kisi bhee pahaad par waadee mein gunjatee huyee, khaamoshiyaan soone aankhon mein bheege bheege se, lamhe liye huye yaa gamreeyon kee raat jo poorawaaeeyaan chale thhandee safed chaadaro pe jaage der tak taaron ko dekhate rahe chhat par pade huye tasavvur - Contemplation
Dil mein ik lahar sii uThii hai abhii - Nasir Kazmi dil mein ik lahar sii uThii hai abhii ko_ii taazaa havaa chalii hai abhii shor barpaa hai Khaanaa-e-dil me.n ko_ii diivaar sii girii hai abhii kuchh to naazuk mizaaj hai.n ham bhii aur ye choT bhii na_ii hai abhii bharii duniyaa me.n jii nahii.n lagataa jaane kis chiiz kii kamii hai abhii tuu shariik-e-suKhan nahii.n hai to kyaa ham-suKhan terii Khaamoshii hai abhii yaad ke be-nishaa.N jaziiro.n se terii aavaaz aa rahii hai abhii shahar ke becharaaG galiyo.n me.n zindagii tujh ko Dhuu.NDhatii hai abhii so gaye log us havelii ke ek khi.Dakii magar khulii hai abhii tum to yaaro abhii se uTh baiThe shahar me.n raat jaagatii hai abhii vaqt achchhaa bhii aayegaa ‘Nasir’
Gam na kar zindagii pa.Dii hai abhii
Barpa: Start, Arisen
Khanaah: House, Compartment, Partition, Room, Receptacle
Khanah-e-dil: Partitions/Compartments of the Heart (auricles and ventricles)
Shariik: Associate, Joined, Included, Partner
Sukhan: Affair, Business, Eloquence, Speech, Words
Ham-Sukhan: To Speak Together, To Agree
Jazeerah: Island
Duniyaa jise kahate hain - Nida Fazli duniyaa jise kahate hain jaaduu kaa khilonaa hai mil jaaye to miTTii hai kho jaaye to sonaa hai achchhaa saa koii mausam tanahaa saa koii aalam har vaqt kaa ronaa to bekaar kaa ronaa hai barsaat kaa baadal to diivaanaa hai kyaa jaane kis raah se bachanaa hai kis chhat ko bhigonaa hai gham ho ki khushii donon kuchh der ke saathii hain phir rastaa hii ras-taa hai haNsanaa hai na ronaa ha
Aalam: Beauty, Nature, Period, Situation, State, Universe, World
Rastaa hi ras-ta hai: Just the journey/path, is the essense/joy
Duniya kisi ke pyaar mein - Dukhi Prem Nagri
“bul-bul ne gul se, gul ne bahaaron se keh diya ek chaudviin ke chaand ne, taaron se keh diya” duniya kisi ke pyaar mein, jannat se kam nahin ek dil-rubaa hai dil mein jo, hooron se kam nahin tum baadshah-e-husn ho, husn-e-jahaan ho jaan-e-wafa ho aur, mohabbat ki shaan ho jalwe tumhare husn ke, taaron se kam nahin bhoole se muskurao to, moti baras padein palkein uthake dekho to, kaliyaan bhi hans padein khushboo tumhari zulf ki, phoolon se kam nahin
Ek purana mausam lauta - Gulzar ek purana mausam lauta, yaad bhari purvaee bhi, aisa to kam hi hota hai, vo bhi ho tanhaee bhi yaadon kee bauchharon se, jab palke bhigane lagati hai, kitni saundhi lagti hain tab, mazee kee rusvaii bhi do do shaklen dikhti hain, is bahake se aaeene mein, mere sath chala aaya hai, aapaka ek saudii bhi khamoshi ka hasil bhi, ik lambi si khamoshi hai, unkee baat suni bhi hamne, apni baat sunaee bhi
Purvaee: Easterly breeze
Maazi - Past, Yore
Rusvaii - Disgrace, Humiliation
Saudaii - Crazy, One Who Loves Deeply, Insane, In A Frenzy
Faasle aise bhii honge - Adeem Hashmi faasile aise bhii ho.nge, ye kabhii sochaa na thaa saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa raat bhar us kii hii aahaT kaan me.n aatii rahii jhaa.Nk kar dekhaa galii me.n ko_ii bhii aayaa na thaa aks to maujuud the par aks tanahaa_ii ke the aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa aaj us ne dard bhii apane alahedah kar diye aaj mai.n royaa to mere saath vo royaa na thaa ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n aa.Nkh dhu.Ndhalaa_ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa yaad karake aur bhii takaliif hotii thii ‘Adeem’ bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraah na thaa
Suu: Direction, Towards
Alahedah: Inconsistent
Alahedah karna: Set aside, Winnow
Takaliif: Ceremony; the imposition of a burden (upon); burden, difficulty, trouble
Chaaraah: Aid, Cure, Help, Means, Redress, Resource, Remedy
Gulon mein rang bhare - Faiz Ahmed Faiz
Gulon mein rang bhare baad-e-naubahaar chale
Chale bhi aao ke gulshan ka kaarobaar chale
Qafas udaas hai yaaro saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikar-e-yaar chale
Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushakbaar chale
Bara hai dard ka rishta yeh dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge ghamgusaar chale
Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Hamaare ashk teri aaqbat sanwaar chale
Maqaam Faiz koi raah mein jacha hi nahin
Jo kue yaar se nikle to sue daar chale
Har ek baat pe kahte ho - Mirza Ghalib har ek baat pe kahate ho tum, ki tuu kyaa hai tumhi kaho ke, ye andaaz-e-guftagu kyaa hai ragon mein daudte phirane ke ham nahii.n qaayal jab aaNkh hii se na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai chipak rahaa hai badan par lahuu se pairaahan hamari jeb ko ab haajat-e-rafuu kyaa hai jalaa hain jism jahaaN, dil bhii jal gayaa hogaa kuredte ho jo ab raakh, justajuu kyaa hai
Haajat-e-rafuu: Mending
Justajuu: Desire
Hazaaron Khvaahishen - Mirza Ghalib hazaaron Khvaahishen aisii ki har Khvaaish pe dam nikale bahut nikale mere armaaN lekin phir bhii kam nikale nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hain lekin bahut beaabaruu hokar tere kuuche se ham nikale muhabbat men nahiin hai farq jiine aur marane kaa usii ko dekh kar jiite hain jis kaafir pe dam nikale
Khudaa ke vaaste pardaa naqaabii si uThaa zaalim
Kahiin aisaa na ho yaaN bhii vahii kaafir sanam nikale
KahaaN maiKhaane ka daravaazaa ‘Ghalib’ aur kahaaN vaaiz par itanaa jaanate hain kal vo jaataa thaa ke ham nikale
Khwaahish: Want, Wish, Will
Armaan: Desire, Keenness, Longing, Yearning, Wish
Khuld: Heaven, Paradise
Be-Aabaruu: Honourless
Kuuche: Street, Lane
Kaafir: Infidel, Sweetheart, Mistress, Impious, Ungrateful, Wanton, Non-Believer,
Maikhaana: Drinking Bar, Tavern
Vaaiz: Preacher, Advisor, Religious Wise Man, Learned Man, Wise Man thousands of desires, each one worth dying for, many a wish have I realized; yet I yearn for more…
Ousting of Adam from heaven we have often heard of,
But ..much more humiliating was my exit from your street /door
In love, there is little difference between life and death,
The same infidel sustains our life, for whom we are willing to die.
For God's sake, lift not the veil from the 'kaabaa' / secrets you tyrant lest you may uncover the same infidel whom I (am not supposed to) adore
The preacher and the bar’s entrance are things wide apart
Yet yesterday I saw him entering the bar, as I was leaving.
Honton se chhoo lo tum - Indeevar honton se chhoo lo tum, mera geet amar kar do ban jaao meet mere Meri preet amar kar do na umr ki seema ho, na janm ka ho bandhan jab pyaar kare koi, toh dekhe keval mann nayi reet chalaakar tum, yeh reet amar kar do yeh reet amar kar do, mera geet amar kar do aakaash ka soonapan, mere tanha mann mein paayal chhankaati tum, aa jaao jeevan mein saansein dekar apni, sangeet amar kar do sangeet amar kar do, mera geet amar kar do jag ne chheena mujhse, mujhe jo bhi laga pyaara sab jeeta kiye mujhse, main har dam hi haara tum haarke dil apna, meri jeet amar kar do honton se chhoo lo tum, mera geet amar kar do
Hoshwaalo.n ko khabar kya - Nida Fazli hoshwaalo.n ko khabar kya bekhudii kya chiiz hai ishq kiiji’e phir samjhi’e zi.ndagii kya chiiz hai unse nazare.n kya milii roshan fizaa’e.n ho ga’ii.n aaj jaana pyaar kii jaaduugarii kya chiiz hai khultii zulfo.n ne sikhaa’ii mausamo.n ko shaayarii jhuktii aa.nkho.n ne bataaya maikashii kya chiiz hai ham labo.n se kah na paa’e unse haal-e-dil kabhii aur voh samjhe nahii.n yeh khaamoshii kya chiiz hai
Be Khudii: Being besides Oneself, Intoxication, Rapture, Senseless
Fizaa: Atmosphere, Environment
Mai-kashee: Boozing
Lab: Lip
Humko kiskay gham nay maara - Masroor Anwar
“Dil ki choton nay kabhi chain say rehnay na diya,
Jab chali sard hawa mainay tujhay yaad kiya,
Iska rona nahin kyon tumnay kiya dil barbaad,
Iska gham hai ki bahut dher may barbaad kiya”
Humko kiskay gham nay maara, yeh kahaani phir sahi,
Kisnay tora dil hamara, yeh kahaani phir sahi
Dil kay lutnay ka sabab poocho na sabkay saamnay,
Naam aayega tumhara, yeh kahaani phir sahi
Nafraton kay teer kha kar doston kay shehar mein,
Humnay kis kis ko pukara, yeh kahaani phir sahi
Kya batayein pyaar ki baazi wafa ki raah mein,
Kaun jeeta kaun haara, yeh kahaani phir sahi
Humko kiskay gham nay maara, yeh kahaani phir sahi,
Kisnay toda dil hamara, yeh kahaani phir sahi
Sabab: Bring About, Cause, Occasion, Reason, Relationship
Baazi: Bet, Gamble, Game, Sport, Wager
Wafa: Fulfilling A Promise, Fulfillment, Fidelity, Faithful, Sincerity, Sufficiency
Hungama hai kyon barpa - Akbar Allahabadi
Ye alag baat hai saaqi ke mujhe hosh nahin varna main kuch bhi huun ehsan-faramosh nahin main teri mast nigahi ka bharam rakh lunga hosh aya bhi to kah dunga mujhe hosh nahin
Hungama hai kyon barpa, thodi si jo pi li hai daaka to nahin daala chori to nahin ki hai us may se nahin matalab dil jisase ho begaana makasuud hai us may se dil hi mein jo khinchati hai suuraj mein lage dhabba fitarat ke karishme hain but hamako kahein kafir allah ki marzi hai naatajurbaakaari se vayiz ki ye baatein hain is rang ko kya jaane puuchho jo kabhi pi hai waan dil mein ki sadamein do, yaan ji mein ki sab sah lo unaka bhi ajab dil hai, mera bhi ajab ji hai har zarra chamakata hai anawaar-e-ilaahi se har saans ye kahati hai ham hain to kuda bhi hai e shauq wahi may pi ai hosh zara so ja mehamaan-e-nazar is dam ik bark-e-tazali hai
Barpaa: Start, Arisen
Vaaiz: Preacher, Advisor, Religious Wise Man, Learned Man, Wise Man
Mai: Wine, Liquor
Begaanaa: Alien, Foreign, Strange, Unfamiliar
Maqsuud: Intended, Proposed
Anvaar-e-Ilaahi: Divine Light
Fitrat: reation, Deceit, Intrigue, Machination, Nature, Wise, Wisdom
But: Icon, Idol, Image, Sculpture, Statute
Kaafir: Infidel, Non-Believer, Disbeliever
Itni muddat baad mile ho - Mohsin Naqvi itni muddat baad mile ho kin socho mein gum rahate ho tez hawaa ne mujh se puchaa ret pe kya likhte rahte ho kaun si baat hai tum mein aisi itne achchhe kyon lagate ho ham se na poocho hijr ke qisse apni kaho ab tum kaise ho
Hijr: Separation, Absence From One’s Country
Qisse, Kisse: Anecdote, Story, Tale, Quarrel
Jab bhii aatii hai terii yaad - Krishan Adeeb jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad aur ba.D jaatii hai afsurdaadilii shaam ke baad ab iraado.n pe bharosaa hai na taubaa pe yaqii.n mujh ko le jaaye kahaa.N tashnaalabii shaam ke baad yuu.N to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzaraa dil ko mahasuus hu_ii terii kamii shaam ke baad yuu.N to kuchh shaam se pahale bhii udaasii thii ‘Adeeb’ ab to kuchh aur ba.Dii dil kii lagii shaam ke baad
Badna: To increase, to intensify
Afsurdaa: Depressed, Lifeless, Melancholy, Rueful
Afsurdaadilii: Disappointment Of The Heart
Taubaa: Vow, Promise Not To Sin
Tashnaalabii: Thirst
Bojhal: Heavy
Kamii: Abatement, Lack, Loss, Meagreness, Reduction, Relaxation, Remission, Wane
Adeeb: A reference to the poet, Krishan Adeeb
Lagii: Affection, love; desire, longing;—hunger
Jhoom kay jab rindo nay pila di - Kaif Bhupali jhoom kay jab rindo nay pila di, sheikh nay, chupke chupke dua di ek kami thi TajMahal mein, hamnay teri tasveer laga di aapne jootha vada karkay, aaj hamaari umar bada di teri gali mein sajde karke, hamnay ibadat-gah bana di
Jhukii jhukii si nazar - Kaifi Azmi jhukii jhukii sI nazar beqaraar hai ki nahii.n dabaa dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n tu apne dil kI javaa.n dhadkano.n ko gin ke bataa … merI tarah terA dil beqaraar hai ki nahii.n … vo pal ke jis me.n mohabbat javaan hotI hai us ek pal kA tujhe i.ntazaar hai ki nahii.n terI ummiid pe Thukraa rahaa huu.N duniyA ko tujhe bhI apne pe ye aitbaar hai ki nahii.n
Aitbaar: To Trust, Believe
Jinke honthon pe hansi, paanv mein chaale honge - kya bemurawwat kalq hai sab jama hain bismil ke paas tanha mera qaatil raha koyi nahin qaatil ke paas andaaz apane dekhate hain aaeine mein wo aur ye bhi dekhate hain koyi dekhata na ho jinke honthon pe hansi paaon mein chhaale honge haan wohi log tere, chaahane waale honge mai barasati hai fazaaon pe nasha taari hai mere saaqi ne kahin, jaam uchhaale honge unse mafahuum-e-gam-e-zist ada ho shaayad ashq jo daaman-e-mijagaan ne sambhaale honge shamma le aaye hain ham jalwaagah-e-jaanaan se ab do aalam mein ujaale hi ujaale honge ham bade naaz se aaye the, teri mehfil mein kya khabar thi lab-e-izahaar pe taale honge
Kaagaz kii kashtii - Sudarshan Faakir ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo bhale chhiin lo mujhase merii javaanii magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii muhalle kii sabase nishaanii puraanii vo budhiyaa jise bachche kahate the naanii vo naanii kii baaton mein pariyon kaa deraa vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa bhulaae nahiin bhuul sakataa hai koi vo chhotii sii raaten vo lambii kahaanii kadii dhuup mein apane ghar se nikalanaa vo chidiyaa vo bulabul vo titalii pakadanaa vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadanaa vo jhuulon se giranaa vo gir ke sambhalanaa vo piital ke chhallon ke pyaare se tohafe vo tuutii hui chuudiyon kii nishaanii kabhii ret ke unche tiilon pe jaanaa gharaunde banaanaa banaake mitaanaa vo maasuum chahat kii tasviir apanii vo kvaabon khilaunon kii jaagiir apanii na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan badii khuubasuurat thii vo zindagaanii
Gharonda: A small house (made by children to play in); a toy-house
Kabhi Kaha Na Kisi Se - Qamar Jalabadi
Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayee Zamaane Ko
Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge kaho Toh Aaj Saja Luu Garib Khaane Ko
Duaa Bahaar Ki Maangi Toh Itane Phul Khile
Kahi Jagaah Na Mili Mere Aashiyaane Ko
Chaman Mein Jaana Toh Sayyad Dekh Kar Jaana
Akele Chhod Kar Aayaa Huu Aashiyaane Ko
Meri Lahad Pe Patango Ka Khoon Hota Hai
Huzur Shama Na Laaya Kare Jalaane Ko
Dabaa ke Qabra mein Sab Chal Diye Duaa Na Salaam
Zaraa Si Der Mein Kya Ho gaya Zamaane Ko
Ab Aage Is Mein Tumhaare Bhi Naam Aayega
Jo Hukm Ho To Yahii Chhod Duu Fasaane Ko
Qamar Zaraa Bhi Nahi Tumko Khauf-e-Rusvaai
Ke Chandani Pe Chale Ho Unhe Manane Ko
Fasaana: Fable, Fictional Tale, Romance, Story, Tale
Barq: Lightning
Aashiyaana: Nest
Sayyaad: Hunter
Lahad: Tomb, Grave
Rusvaaii: Bad Name, Disgrace, Embarassment, Humiliation, Infamy
Khauf-e-Rusvaaii: Fear of disgrace or humiliation
Kabhi Kisi Ko Muqamal Jahan Nahin Milta - Nida Fazli kabhi kisi ko muqamal jahan nahin milta kahin zamin to kahin aasmaan nahi milta
Jise Bhi Dekhiye Vo Apne Aap Mein Gum Hain
Zubah Mili Hain Magar Humzubah Nahin Milta
Bujha Saka Hain Bhala Kaun Waqt Ke Shole
Ye Aisi Aag Hain Jisme Dhuan Nahin Milta
Tere Zahan Mein Aisa Nahin Ki Pyar Na Ho
Zaha Umeed Ho Iski Wahan Nahin Milta
Kal chaudvi.n kii raat thi - Ibn-e-Insha kal chaudvI.n kii raat thI, shab bhar rahaa charchaa teraa kuchh ne kahaa ye chaa.Nd hai kuchh ne kahaa cheharaa teraa ham bhI vahI.n maujuud the ham se bhii sab pUchhaa ki ye ham ha.ns diye ham chup rahe ma.nzuur thaa pardaa teraa is shahar me.n kis se mile.n ham se to chhUTii mahfile.n har shakhs teraa naam le har shakhs dIvaanaa teraa kUche ko tere chho.Dakar jogI hii ban jaae.n magar ja.ngal teri parvat tere bastI terI seharaa teraa bedard sunni ho to chal kahtaa hai kyaa achchhI gazal aashiq teraa rusvaa teraa shaayar teraa inshaa teraa
Shab Bhar: The Entire Night
Seharaa: Desert, Wilderness
Sunni: orthodox Mohammadan
Rusvaa: Dishonored, Disgraced, Infamous
Inshaa: Writing, composition;
Karoge yaad to - Bashar Nawaz karoge yaad to har baat yaad aayegi guzarte waqt ki har mauj thehar jayegi yeh chand beete zamanon ka aaina hoga bhatakti abr mein chehra koi bana hoga udaas raah koi daastaan sunayegi barasta bheegta mausam dhuan-dhuan hoga pighalti shammon pe dil ka mere gumaan hoga hatheliyon ki heena yaad kuchh dilayegi gali ke modh pe soona sa koi darwaaza tarasti aankhon se rasta kisi ka dekhega nigaah door talak jaa ke laut aayegi
Abr: Cloud
Daastaan: Story, Fable, Tale
Gumaan: Distrust, Deception, Mistrust
Talak: Till
Kisi Nazar ko tera - Hasan Kamaal
Kisi nazar ko teraa, intazaar aaj bhee hain
Kahaa ho tum ke ye dil bekaraar aaj bhee hain
Wo waadiyaa, wo fazaayen, ke hum mile the jahaan
Meri wafaa kaa wahee par majaar aaj bhee hain
Na jaane dekh ke kyon unko, ye huaa ehasaas
Ke mere dil pe unhe ikhtiyaar aaj bhee hain
Mazaar: Mausoleum, Shrine, Tomb
Ikhtiyaar: Authority, Choice, Control
Koi ye kaise bataaye - Kaifi Azmi koI ye kaise bataaye ke vo tanhaa kyo.n hain vo jo apanA thA vohii aur kisii kA kyo.n hai.n yahii duniyA hai to phir aisI ye duniyA kyo.n hai.n yahii hotA hai.n to aakhir yahii hotA kyo.n hai.n ek zaraa haath ba.Dhaa, de to paka.D le daaman usake siine me.n samaa jAye hamaarii dha.Dkan itanI kurbat hai.n to phir faaslaa itnaa kyo.n hai.n dil-e-barabaad se nikalaa nahii.n ab tak koii ek luTe ghar pe diyaa kartaa hai.n dastak koii aas jo tuut gayii phir se ba.ndhaataa kyo.n hai.n tum masarrat kA kaho yA ise Gam kA rishtaa kahate hai.n pyaar kA rishtaa hai.n janam kA rishtaa hai.n janam kA jo ye rishtaa to badaltaa kyo.n hai.n
Kurbat, Qurbat: Accessibility, Closeness, Intimacy
Masarrat: Happiness, Joy
Ku-ba-ku phail gai bat shanasai ki - Parveen Shakir ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki kaise kah dun ki mujhe chod diya hai usne baat toh sach hai magar baat hai ruswai ki wo kahin bhi gaya lauta to mere paas aya bas yahi baat hai achi mere harjai ki tera pahlu tere dil ki tarah abad rahe tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha ruh tak aa gai taasir masihai ki
Kuu-Ba-Kuu: Everywhere
Shanaasaaii: Acquaintance
Paziiraaii: Acceptance
Rusvaaii: Bad Name, Disgrace, Embarassment,
Harjaaii: Someone who canoot be trusted, unfaithful partner
Qayaamat: Doomsday
Shab-e-Tanhaaii: Night of solitude/loneliness
Peshaanii: Forehead
Taasiir: Effect, Result, Impression
Masiihaaii: Miraculous Healing Powers
Main Khayaal huu.N kisii aur kaa - Saleem Kausar mai.n Khayaal huu.N kisii aur kaa mujhe sochataa ko_ii aur hai sar-e-aa_iinaa meraa aks hai pas-e-aa_inaa ko_ii aur hai mai.n kisii ke dast-e-talab me.n huu.N to kisii ke harf-e-duaa me.n huu.N mai.n nasiib huu.N kisii aur kaa mujhe maa.Ngataa ko_ii aur hai kabhii lauT aaye.N to na puuchhanaa nahin dekhanaa unhein Gaur se jinhe.n raaste me.n Khabar hu_ii ki ye raastaa ko_ii aur hai tujhe dushmanon ki khabar na thi, mujha doston ka pataa na tha teri daastaan koi aur thi, mera vaakayaa koi aur hai ajab aitabaar-ba-aitabaarii ke daramiyaa.N hai zindagii mai.n qariib huu.N kisii aur ke mujhe jaanataa ko_ii aur hai vahii munsifo.n kii rivaayate.n vahii faisalo.n kii ibaarate.n meraa jurm to ko_ii aur thaa par merii sazaa ko_ii aur hai terii roshanii merii Khadd-o-Khaal se muKhtalif to nahii.n magar tuu qariib aa tujhe dekh luu.N tuu vahii hai yaa ko_ii aur hai jo merii riyaazat-e-niim_shab ko “Saleem” subah na mil sakii to phir is kii maanii to ye hue ke yahaa.N Khudaa ko_ii aur hai
Sar: Beginning, Chief, Desire, Epilepsy, Head, Origin, Pinnacle, Top
Sar-e-Aaiinaa: In front of the mirror
Pas-e-Aaiinaa: Behind the mirror, a reflection in the mirror
Dast: Hand, Power
Dast-e-Talab: Under the power of
Harf: Syllable, Letter, Alphabet, A Letter Of The Alphabet, Talk
Harf-e-Duaa: In every prayer/wish
Ba-Aitabaar: Without trust, without belief
Munsif: Judge, Just
Rivaayat: Tradition
Ibaarat: Admonishing, Composition, Diction, Style, Wording
Khadd: A furrow; an opening, crack (in the ground);—the cheek
Khaal: A black mole on the face (regarded as ornamental); a spot, patch (natural); an artificial spot (made of kājal, &c., for ornament, or to ward off the effects of the malignant eye)
Mukhtalif: Different Types, Other
Riyaazat: Spiritual practice, prayer
Niim-Shab: Midnight
Saleem: A reference to the poet, Saleem Kausar
Main nazar se pii rahaa huun - Anwar Mirzapuri
“apni aawaaz ki larzish pe toh qaaboo paalo pyaar ke bol to honton se nikal jate hain apne tewar to sambhaalo ke koi ye na kahein dil badalte hain to chehere bhi badal jate hain” mai.n nazar se pii rahaa huu.N ye samaa badal na jaaye na jhukaao tum nigaahe.n kahii.n raat Dhal na jaaye mere ashk bhii hai.n is me.n ye sharaab ubal na jaaye meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa tere aane kii Khushii me.n meraa dam nikal na jaaye abhii raat kuchh hai baaqii na uThaa naqaab saaqii teraa rind girate girate kahii.n phir sambhal na jaaye mujhe phuu.Nkane se pahale meraa dil nikaal lenaa ye kisii kii hai amaanat kahii.n saath jal na jaaye maiN banaa to luuN nasheman kisii shaaKh-e-gulsitaaN pe kahiiN saath aashiyaaN ke ye chaman bhii jal na jaaye isi khauf se nasheman na bana saka main ‘Anwar’ ke nighaah-e-ahl-e-gulshan kahin phir badal na jaaye
Larzish: Quiver
Samaa - Ambience
Rind: One Who Likes To Drink, Drunkard, Inebriated Person
Amaanat: Guardianship, Guaranty, Fidelity, Something Given In Trust, Deposit, Security
Nasheman: Nest
ShaaKh: ranch, Bough, Dilemma, Difficulty, Objection, Offshoot, Province
Gulistaan: Rose Garden, Garden
Aashiyaan: Nest, Home, House
Ahl: People, person, member, inhabitant
Mere hum-nafas, mere hum-nawa - Shakeel Badayuni mere hum-nafas, mere hum-nawa, mujhe dost ban ke daga na de main hoon dard-e-ishq se jaan-valab, mujhe zindagi ki dua na de mujhe chhorh de mere haal par, tera Kya Bharosa Hai Chaaragar yeh Teri Nawazish-e-Mukhtasar, mera Dard Aur Badha Na De mere Daagh-e-Dil Se Hai Roshni, isi Roshni Se Hai Zindagi mujhe Darr Hai Ae Mere Chaaragar, yeh Chiraag Tu Hi Bujha Na De mera Azm Itna Buland Hai ke Paraaye Sholo-n Ka Darr Nahin mujhe Khauf Aatish-e-Gul Se Hai, yeh Kahin Chaman Ko Jala Na De woh Uthein Hain Leke Hom-o-Subu, arrey O 'Shakeel' Kahan Hain Tu tera Jaam Lene Ko Bazm Mein koi Aur Haath Badha Na De!
Jaan-va-Lab: At the brink of death
Chaaraagar: Doctor, physician
Nawaazish: Kindness, Favor
Mukhtasar: Abridged, Abbreviated, Brief
Azm: Conviction, Decision,
Aatish: Fire
Gul: Flower, Rose
Hom: An oblation with clarified butter (into fire as an offering to the gods)
Subuu: Jar, pitcher
Bazm: Meeting, Assembly
Meri tanhaaiyon - Prem Warbartoni meri tanhaaiyon tum hii lagaa lo mujhako siine se ki main ghabaraa gayaa huuN is tarah roro ke jiine se ye aadhii raat ko phir chuuDiyon se kyaa khanakataa hai koii aataa hai yaa merii hii zanjiiren chanakatii hain ye baaten kis tarah puuchhuuN main saavan ke mahiine se piine do mujhe apane hii lahuu kaa jaam piine do na siine do kisii ko bhii meraa daaman na siine do merii vahashat na baD jaaye kahiin daaman ke siine se
Paara paara huaa - Saeed Rahi paara paara huaa pairaahan-e-jaa.N phir mujhe chho.D gaye chaaraagaraa.N ko_ii aahaT na ishaara na sharaab saraab kaisaa viraa.N hai ye dasht-e-imkaa.N vaqt ke sog me.n lamho.n kaa juluus jaise ek qaafilaa-e-nauhaagaraa.N
Paara-Paara: In Bits And Pieces
Pairaahan-e-Jaan: Fabric Of Life (Pairaahan: Dress, Shirt, Robe, Cloth)
Chaaraagaraan: Healers, Doctors
Saraab: Mirage
Viiraan: Deserted, Desolate Place, Lonely, Wilderness
Dasht: Desert, Hands, Jungle, Wilderness
Imkaan: Possibility
Sog: Lamentation, Mourning
Juluus: Procession
Qaafilaa-e-NauhaagaraaN: Funeral procession
Phir usii raah_guzar par shaayad - Ahmed Faraz phir usii raah_guzar par shaayad ham kabhii mil sake.n magar shaayad jaan pahachaan se bhi kyaa hogaa phir bhi ai dost gaur kare.n shaayad muntazir jin ke ham rahe unko mil gaye aur ham_safar shaayad jo bhii bichha.De hai.n kab mile hai.n 'Faraz' phir bhii tuu intazaar kare.n shaayad
Pyaar bhare do sharmile nain pyaar bhare do sharmile nain jinse milaa mere dil ko chain koi jaane na kyuN mujhse sharmaaye kaise mujhe taDpaaye
dil ye kahe geet main tere gaaooN tu hi sune aur main gaataa jaaooN tu jo rahe saath mere duniyaa ko ThukraaooN teraa dil bahlaaooN pyaar bhare do sharmile nain
roop teraa kaliyoN ko sharmaaye kaise koi apne dil ko bachaaye paas hai tu phir bhi jalooN kaun tujhe samjhaaye saavan beetaa jaaye pyaar bhare do sharmile nain
Dar hai mujhe tujhse bichhaD na jaaooN kho ke tujhe milne ki raah na paaooN aisaa na ho jab bhi teraa naam laboN par laaooN main aaNsoo ban jaaooN pyaar bhare do sharmile nain
Rafta rafta wo meri - Tasleem Fazli rafta rafta wo meri hasti ka saamaaN ho gaye pehle jaaN fir jaan-e-jaaN fir jaan-e-jaana ho gaye din-ba-din badhti gayi is huSn ki raanayeeyaaN phele gul fir gul badan fir gul badaama ho gaye aap to nazdeeK se nazdeek tar aate gaye pehle dil fir dilruba fir dil ke mehmaaN ho gaye pyaar jab had se baDha saare takalluf mit gaye aap se fir tum huye fir tu ka unwaaN ho gaye
Rafta: Slowly
Hasti: Being, Existence, Life
Jaan-e-Jaan: Love of my life
Jaan-e-Jaanaan: Beloved, Dear One, Sweetheart
Raanaaii: Beauty
Gul: Rose, Flower, Ornament, Brand
Gul-badan: Delicate, Gracefu
Gul-badaamaa: almond blossom (possible a very delicate/attractive flower?)
Tar: Fresh, Humid, Moist, Wet
Takalluf: Etiquette, Formality, Luxury,Manners
Unwaan: Form, Headline, Label, Legend, Preface, Start Of Chapter, Title
Ranjish hi sahi - Ahmed Faraz
Ranjish hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe, chhod ke jaane ke liye aa
Pehle se marasim na sahi, phir bhi kabhi to
Rasm-o-reh duniya ki nibhane ke liye aa
Kis kis ko bataayenge, judaii kaa sabab ham
Tu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aa
Kuch to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujhko manane ke liye aa
Maanaa ki muhabbat kaa, chhipaanaa hai muhabbat
Chupake se kisii roz jataane ke liye aa
Jaise tujhe aate hain, na aane ke bahaane
Aise hee kisii roz na jaane ke liye aa
Ranjish: Anguish, Distress, Enmity, Grief, Indignation
Marasim: Agreements, Relations, Relationship
Rasm: Custom, Tradition
Sabab: Bring About, Cause, Occasion, Reason,
Pindar: Arrogance, Ego, Pride, Self-esteem
Bharam: Consideration, Regard
Sarakti Jaaye Rukh Se Naqab - Ameer Minai
“mazare kais par, jab roohe laila ek din ayee toh armano ke, murjhaye kuch phool bhi layee lage jab phool woh rakhne, toh kabr se ek awaaz aaye chadhana phool jane mann, magar, ahista ahista” saraktii jaaye hai ruKh se naqaab aahistaa aahistaa nikaltaa aa rahaa hai aaftaab aahistaa aahistaa jawaaN hone lage jab vo to ham se kar liyaa pardaa hayaa yakalaKht aayii aur shabaab aahistaa aahistaa shabefurkat kaa jaagaa huuN farishton ab to sone do kabhii fursat men kar lenaa hisaab aahistaa aahistaa savaale vasl par unko uduu kaa Khauf hai itnaa dabe honThon se dete hain javaab aahistaa aahistaa hamaare aur tumhaare pyar men bas fark hai itnaa idhar to jaldii jaldii hai udhar aahistaa aahistaa vo bedardii se sar kaaTe “Ameer” aur main kahuuN un se huzuur aahistaa aahistaa, janaab aahistaa aahistaa
Aaftaab: Sun, Face
Hayaa: Bashfulness, Modesty, Shyness
YaklaKht: Abrupt, All At Once, Suddenly
Shabaab: Juvenility, Prime Of Life, Youth
Shab-e-furqat: Night Of Separation
Vasl: Meeting, Union
Uduu: Enemy, Rival
Shola Hoon Bhadakne Ki Guzaarish Nahi Karta - Muzaffar Warsi
Shola Hoon Bhadakne Ki Guzaarish Nahi Karta
Sach Munh Se Nikal Jaataa Hai Koshish Nahi Karta Girtii Hui Deevaar Ka Hamdard Hoon Lekin
Chadte Huey Sooraj Ki Parastish Nahin Kartaa Maathe Ke Paseene Ki Mehak Aaye Na Jis Se
Vo Khoon Mere Jism Mein Gardish Nahin Karta Hamdardi-E-Ehbaab Se Dartaa Hoon ‘Muzaffar’
Main Zakhm To Rakhtaa Hoon Numaaish Nahin Karta
Parastish: Adoration, Worship
Gardish: Circulation, Luck, Misfortune, Revolution, Vagrancy, Wandering
Hamdardii-e-Ahabaab: Sympathy/Pity of Friends
Shola tha jal bujha huun - Ahmed Faraz shola tha jal bujha huun hawaayein mujhe na do main kab ka ja chuka huun sadaayein mujhe na do jo zahar pii chuka huun tumhin ne mujhe diya ab tum to zindagi ki duaayein mujhe na do aisa kabhi na ho ke palat kar na aa sakuun har baar duur ja ke sadaayein mujhe na do kab mujh ko aitaraaf-e-muhabbat na tha ‘faraaz’ kab maine ye kaha tha sazaayein mujhe na do
Bhuja: Extinguished
Sadaa: Call, Conversation
Aitaraaf-e-Mohabbat: Admission of Love
Sunte hain ke mil jati hai har cheez dua se - Rana Akbar Abadi Sb
Sunte hain ke mil jati hai har cheez dua se ik roz tumhain maang ke dekhainge khuda se duniya bhi mili hai gham-e-duniya bhi mila hai wo kyun nahi milta jise manga tha khuda se aaine mein wo apni ada dekh rahe hain mar jae ke ji jae koi un ki bala se ae dil tu unhain dekh ke, kuch aise tarapna aa jae hansi unko jo baithe hain khafa se jab kuch na mila haath duaon ko utha kar phir haath uthane hi pare humko dua se tum samne baithe ho to hai kaif ki barish wo din bhi the jab aag barasti thi ghata se
Tum itna jo muskura rahe ho - Kaifi Azmi tum itna jo muskura rahe ho kya ghum hai jisko, chhupa rahe ho aankhon mein nami, hansi labon par kya haal hai, kya dikha rahe ho ban jaayenge zeher, peete peete ye ashq jo, peete ja rahe ho jin zakhmon ko, waqt bhar chala hai tum kyun unhe, chhede ja rahe ho rekhaaon ka khel hai muqaddar rekhaaon se maat kha rahe ho
Tum Nahin Gham Nahin Sharab Nahin - Saeed Rahi
Tum nahin ghum nahin sharab nahin
Aisi tanhaee ka jawab nahin
Gahe-gahe ise padha keejay
Dil se behatar koi kitaab nahin
Jane kis kis ki maut aayee hai
Aaj rukh pe koi naquab nahin
Wo karam ungliyon pe ginte hain
(dha ni re sa re ma dha ni sa dha ni pa ga)
Zulm ka jinke kuchh hisab nahin.
Tum nahin ghum nahin sharab nahin
Aisi tanhaee ka jawab nahin
Gahe-Gahe: At times, sometimes, now and then
Karam: Benevolence, Benignity, Benedictions, Bounty, Clemency, Favor, Kindness, Largeness
Tumko dekha to ye khayaal aaya - Javed Akhtar tumko dekha to ye khayaal aayaa zindagii dhuup tum ghanaa saayaa aaj phir dilne ek tamannaa kii aaj phir dilko hamane samajhaayaa tum chale jaaoge to sochenge hamane kyaa khoyaa, hamane kyaa paayaa ham jise gunagunaa nahi.n sakate vaqt ne aisaa geet kyuun gaayaa
Tuune ye phuul jo zulfo.n mein - Qateel Shifai tuune ye phuul jo zulfo.n me.n sajaa rakhaa hai ik diyaa hai jo a.Ndhero.n me.n jalaa rakhaa hai jiit le jaaye ko_ii mujhako nasiibo.n vaalaa zindagii ne mujhe daao pe lagaa rakhaa hai jaane kab dil me.n koi jhaa.Nkane vaalaa aa jaaye is liye mai.n ne Girebaa.N khulaa rakhaa hai imtehaa.N aur merii zabt kaa tum kyaa loge mai.n ne dha.Dkan ko bhii siine me.n chhupaa rakhaa hai dil tha ik shola magar beet gaye din woh ‘Qateel’ ab kuredo na ise raakh mein kya rakha hai
Zabt: Confiscation, Control, Seizure
Shola: Blaze, Light
Kurednaa: To scratch, scrape, rake, poke
Woh Jo Hum Mein Tum Mein - Momin Khan Momin vo jo ham me.n tum me.n qaraar thaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho vahii yaanii vaadaa nibaah kaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho vo jo lutf mujh pe the peshtar, woh karam ke thaa mere haal per mujhe sab hai.n yaad zaraa zaraa, tumhe.n yaad no ki na yaad ho vo naye gile vo shikaayate.n vo maze maze kii hikaayate.n vo har ek baat pe ruuThanaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho kahiin baiThe sab hai.n jo ruu-ba-ruu to ishaarato.n hii mein guftaguu vo bayaan shauq ka bar-malaa tumhe.n yaad ho ki na yaad ho hue ittefaaq se gar baham, vo vafaa jataane ko dam-ba-dam gilaa-e-malaamat-e-aqrabaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho ko_ii aisii baat agar hu_ii jo tumhaare jii ko burii lagii to bayaa.N se pahale hii bhuulanaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho kabhii ham me.n tum me.n bhii chaah thii, kabhii ham se tum se bhii raah thii kabhii ham bhii tum bhii the aashnaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho suno zikr hai ka_ii saal kaa, ke kia ek aap ne wada thaa so nibaahane ka to zikr kyaa, tumhe.n yaad ho ke na yaad ho kahaa mein ne woh baat kothi ki, mere dil se saaf utar gayi toh kaha ke jaane meri balaa, tumhe.n yaad ho ki na yaad ho vo biga.Dnaa vasl kii raat kaa, vo na maananaa kisii baat kaa vo nahiii.n nahii.n kii har aan adaa, tumhe.n yaad ho ki na yaad ho jise aap ginte the aashnaa jise aap kahate the baavafaa mai.n vahii huu.N “Momin”-e-mubtalaa tumhe.n yaad ho ke na yaad ho
Qaraar: Ease, Patience, Quietude, Repose,
Yaanii: i.e., Namely, That Is To Say, Quasi, Viz
Nibaah: Loyalty
Luft: Benignity, Enjoyment, Favor, Grace, Joy, Kindness, Pleasure, Taste, Wit
Pesh-tar: Before, prior
Karam: Benevolence, Favor, Kindness, Largeness
Gilaa: Complaint, Blame, Reproach, Lamentation
Hikaayat: Anecdote, Story, Narrative
Ruu-ba-Ruu: Face To Face, In Front Of
Ishaarat: Sign, signal; beck, nod, wink, nudge, gesticulation
Bar Malaa: Open, public, conspicuous; openly, in open day, publicly, in the sight of all, manifest
Ittefaaq: Accordance, Accident, Agreement, Concord, Chance, Event, Opportunity
Gar: If
Baham: Gather, Together, With One Another
Dam-ba-Dam: Every Moment, Continuously
Malaamat: Animadversion, Blame, Censure, Lesson, Rebuke, Reproach
Aqrab: Nearer; nearest; most near;—s.m. A near relative
Gilaa-e-Malaamat-e-Aqrabaa: Admonitions and Rebukes to a near and dear/loved one
Aashnaa: Acquaintance, Friend, Lover
Kaii: Several
Vasl: Meeting, Union
Aan: Moment
Mubtalaa: Embroiled In
Yaaro kisi qaatil se - Qateel Shifai yaaro kisi qaatil se kabhi pyaar na maango apne hi gale ke liye, talwar naa maango gir jaoge tum apne masiha ki nazar se mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar naa maango khul jayega is tarah nigahon ka bharam bi kanton se kabhi phul ki mahkar naa maango sach bat pe milta hai sada zahar ka pyala jina hai to phir jine ka izhar naa maango us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahin hai sehra mein kabhi saya-e-diwar naa maango
Zindagi jab bhi teri bazm mein - Shahryar
Zindagi jab bhi teri bazm mein, laati hai hamen
Yeh zameen chand se behtar, nazar aati hai hamen
Surkh phoolon se mehek uthati hain dil ki rahen
Din dhale yun teri aawaz bulaati hai hamen
Yaad teri kabhi dastak kabhi saragoshi se
Raat ke pichhale prahar roz jagaati hai hamen
Har mulaqaat ka anjaam judai kyun hai
Ab toh har waqt yeh hi baat sataati hai hamen
Zindagi mein to sabhi - Qateel Shifai zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain main to markar bhi meri jaan tujhe chahoonga tu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhko ye meri umr mohabbat ke liye thhodi hai ek zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis par maine wo saans bhi tere liye rakh chhodi hai tujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoonga main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye maine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujhe main tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoon? maine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhe pyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoonga main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga teri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraag jab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aaye tujhko chhulun to aye jaan-e-tamanna mujhko dair tak apne badan se teri khushboo aaye tu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoonga main to marrkar bhi meri jaan tujhe chaaoounga….
Ehsaas: Consciousness, Emotion, Feelings, Perception, Realisation
Gham-e-dauraan: Period of sorrow
Haq: Just, Lot, Right, Righteousness, Truth, True
Jazbaat: Emotion
Naghmaat: Melody, Song, Musical Note
Rachaana: Making, forming, fabricating, creating
Tasavvur: Contemplation, Fancy, Fantasy, Idea, Imagine, Imagination, Opinion, Thought
Nigaahbaan: Guard, Janitor, Keeper, Protector, Warden, Watchman
Chaap: Footstep
Tamanna: Wish, Desire, Inclination, Request, Hope, Longing, Prayer, Supplication, Petition, Yearning
Jaan-e-Tamanna: Hearts desire
Unwaan: Form, Headline, Label, Legend, Preface, Start Of Chapter, Title updated on Dec 04, 2011 Permalink
Comments 1. on Feb 25, 2012 05:02 AM by Noi
A provocative isnihgt! Just what we need! 2. on Feb 26, 2012 11:02 AM by shaukatmi
Translation of Dukhi Premnagri
Duniya kisi ke pyar mein
Preface or Rubayi Before song
Bulbul ne gul se
Gul ne baharon se keh diya aik chaudveen ke chand ne
Taroon se keh diya
Main Song
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN ik dilruba hai dil meiN jo hooroN se kam nahiN
tum baadshaahehusn ho husnejahaan ho jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho jalwe tumhare husn ke taaroN se kam nahin duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahiN
bhoole se mushkuraaO to moti baras paDe palke utha ke dekho to kaliyaan bhi has paDe khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin